ruh napak meri qalb bhi napak mera
nafs-e-ammara bahut ho gaya bebak mera
bojh mein apne hi mazi ke daba jata hun
apni hi aag mein ab KHud hi jala jata hun
kis taraf jaun kahan dhoun main apna daman
mere maqtul mere sath hain be-ghusl-o-kafn
dekhta hun shab-e-tarik mein jab main tare
nok-e-neza pe nazar aate hain kitne bachche
aaj tak yaad hain mujh ko wo nigahen masum
in hi hathon ne jinhen kar diya baDh kar madum
chhatiyan maon ki hans hans ke hain main ne kaTin
haDDiyon se meri talwar ne saDken patin
apni har zarb ka ab KHud hi nishana hun main
jurm unwan ho jis ka wo fasana hun main
main ne ismat ke sanam KHanon ko mismar kiya
apni bahnon ko supurd-e-sar-e-bazar kiya
kitne mah-pare hue KHud meri zulmat ka shikar
kaun kar sakta hai ab mere gunahon ka shumar
chaunk chaunk uThta hun raaton ko main aksar ab bhi
chiKHen rah rah ke mere kanon mein aati hain wahi
apne kirdar ko ab kaise bhulaun ai dost
apni hi lash ko ab kaise uThaun ai dost
khae jata hai mujhe ab mere mazi ka KHayal
kya mere jurm ki padash hai is darja muhaal
Nazm
Zamir
Wamiq Jaunpuri