اردو हिंदी
Zamin KHwab KHushbu | Shaahi Shayari
zamin KHwab KHushbu

Nazm

Zamin KHwab KHushbu

Faheem Shanas Kazmi

;

munDeron se jab dhup utri
abhi raat jagi nahin thi

abhi KHwab ka chand sahra mein soya hua tha
samundar ke baalon mein chandi chamakti nahin thi

kisi taq mein bhi diye ki koi lo bhaDakti nahin thi
fazaon mein giton ki mahkar thi

parinde abhi aashiyanon ko bhule nahin the
wo sapnon mein khoi hui thi

zamane pe jab dhup utri
to us ne badan ko sameTa nahin tha

ye miTTi ki zarKHezi jagi nahin thi
so jab raat utri

zamin KHwab KHushbu
ye mausam

ye main
meri aankhen

mera dil
use ro rahe the

zamane par jab raat utri