zamin ka qarz hai hum sab ke dosh-o-gardan par
ajib qarz hai ye qarz-e-be-talab ki tarah
hamin hain sabza-e-KHud-rau hamin hain naqsh-e-qadam
ki zindagi hai yahan maut ke sabab ki tarah
har ek chiz numayan har ek shai pinhan
ki nim roz ka manzar hai nim shab ki tarah
tamasha-gah-e-jahan ibrat-e-nazara hai
ziyan-ba-dast rifaqat ke karobar mere
utarti jati hai baam-o-dar-e-hayat se dhup
bichhaDte jate hain ek ek kar ke yar mere
main dafn hota chala hun har ek dost ke sath
ki shahr shahr hain bikhre hue mazar mere
Nazm
Zamin ka qarz
Shaz Tamkanat