اردو हिंदी
ZaKHmi KHwabon ki tisri duniya | Shaahi Shayari
zaKHmi KHwabon ki tisri duniya

Nazm

ZaKHmi KHwabon ki tisri duniya

Zahid Imroz

;

sadar-e-mumlikat ne
apni daulat ko zarb lagai

aur para-e-mulk mein ek qabr kirae par le li
ta-ki us ki lash mahfuz rahe

raushni ne duniya ka safar kiya
magar kisi adalat mein insaf na mila

ki andhe taraazu ne to kabhi aankhen hi nahin kholin
diwaren tamam raat jagti rahin

saman paDa raha
lekin gharon se laDkiyan chura li gain

ek jism ko kai jismon ne chhua
to bichaari ruhon ne apne chehron par qai ki

laDki man to bani biyahi na gai
us ne aansuon se ghusl kiya

magar pak na hui
hamein duniya mein hi dozaKH mili

kyunki hum us laDki ke ghar paida hue
jis ka bap faqe se mar gaya

aur man bewa-KHwabon ki ghuTan se
us raat chand ko qatl kar diya gaya

aur hum bhaiyon ne
viran saDak par KHud-kushi kar li