kya ajab sham hai! dekho zaibunnisa
fursaton mein kisi peD ki narm chhanw mein sochi hui
aabshaaron se girte hue paniyon mein nahai hui
tere malbus ki KHushbuon ko uDati hui
kya ajab sham hai
tere shanon pe aanchal Thaharta nahin
aur tu ne hawa ko bahana kiya
kitni chaalak ho
chae mein apni poron ki shiriniyan ghol kar puchhti ho
ki chini ke kitne chammach lijiyega
samajh ye rahi ho
ki hum tere sanson ki aur teri dhaDkan ki raftar ko jaante hi nahin hain
sunahri faza ko hansati hui sada laDki
tujhe kya KHabar hai
ajab zaiqa ban gaya hai luab-e-dahan
chhu ke dekha nahin aur azbar kiya tera sara badan
tere tan se lipaTti chali ja rahi hai meri har nazar
kis tarah se chhupaega tera badan
ye tera pairahan
Nazm
Zaibunnisa ek nazm tumhaare liye bhi
Maqsood Wafa