ek pal mein KHatm ho sakti hai wusat dahr ki
choTiyon se choTiyon tak rasta
aage KHala
aur KHala ki tirgi mein dur se aai hui kirnon ke rangon ki numud
aasman ke panw par mahtab o anjum ke sujud
aur zamin ki raunaqon ka wahm fikr-e-raft-o-ud
bun diye kis ne ye tar-o-pud
kis ke hath mein aaya nizam-e-kaenat
kis ke zarre ban gae duniya sitare aaftab
kis ne aawara-KHayali ko pilai fikr-e-shirin ki sharab
kis ne ye sab kuchh banaya
aur KHud tarik pardon mein kahin baiTha raha
kya ye sab phailaw mere waste hain
ya main KHud us ki purani ruh mein baiTha hua
gin raha hun us ke ashkon ki qatar
ponchhta hun us ke aansu mangta hun us se bhik
(chahta hun ruh ki KHatir sukun)
wo to KHud is KHair-o-shar ke jal mein uljha hua
dard se betab taKHliq-e-aziyyat se niDhaal
chiKH kar kahta hai mujh ko mar Dal
Nazm
Zahrili taKHliq
Shahzad Ahmad