ishwar ki hattya karne ke baad
ek be-kohan langDe unT par
har ujala aur andhera phandta
saur-mandal ke marusthal mein
hirasan bhagta hun
mere pichhe aane wala
chiKHte chinghaDte bichhDe gajon ka ghol
mujh ko
zad se bahar dekh
wapas ja raha hai
aur maqtul ishwar ki
aatma ki
wish bujhi kuchh suiyan si
rome chhidron mein musalsal chubh rahi hain
aur sare jism mein
KHauf ghulta ja raha hai
Nazm
Zahr-e-baad
Sadiq