اردو हिंदी
Zaban par zaiqa do paniyon ka hai | Shaahi Shayari
zaban par zaiqa do paniyon ka hai

Nazm

Zaban par zaiqa do paniyon ka hai

Mohammad Anvar Khalid

;

zaban par zaiqa do paniyon ka hai
samundar darmiyan hota to is se puchhte

kis samt jaega musafir kal
KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein

akela jaane wala jis taraf bhi jaega tanha nahin hoga
mohabbat paniyon par khelti hogi

so ye jal-makDiyon ki jal-sazi thi
ki sahil se ulajh kar log lahron mein utarte

aur un ko KHauf hota aansuon ke paniyon mein KHushk hone ka
main in ko paniyon ki nazr karta hun

so ai aadhe badan ki mehrban machhli
tum apne aansuon ko KHushk mat karna

mohabbat paniyon par khelti hogi
aur us ka zaiqa khul jaega

jis waqt jaega musafir kal
KHunuk pani ke bajre par namak ki garm lahron mein