zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu
zaban-e-sher mein fitrat ka ek inam hai urdu
sabhi is ko samajhte hain sabhi mein aam hai urdu
zaban koi bhi ho har ek ka anjam hai urdu
gae wo din ki jab kuchh log hi is ko samajhte the
zabanon mein ubhar aai hai tasht-az-baam hai urdu
kahin hai ibtida is ki kahin hai intiha mazhar
kahin aaghaz hai urdu kahin anjam hai urdu
ye ba-aKHlaq qaumon mein sirishta hai uKHuwwat ka
suluk-e-ghair se bhi aaj KHush-anjam hai urdu
muraqqa hai hasin tahrik-e-afsani ke KHakon ka
mukammal ijtima-e-gauhar-ayyam hai urdu
urus-e-zindagi ki tab-o-zinat jis zaban se hai
usi KHush-kaam fitrat ka achhuta nam hai urdu
dayar-e-pak ya hindostan donon watan is ke
zaban har ek jis mein qaid hai wo dam hai urdu
zara si Thes se bhi shisha-e-dil TuT jata hai
bahut nazuk magar az-qism istihkaam hai urdu
ba-har-unwan yahi ek peshwa-e-husn-o-KHubi hai
ghalat hai asia mein morid-e-ilzam hai urdu
mamalik-ghair mein bhi aaj is ko sab samajhte hain
watan walon mein ek taswir-e-sad-aqwam hai urdu
kisi firqe ka leader ho wo leader ban nahin sakta
na samjhe jab talak janta mein kitni aam hai urdu
safarat ho cinema ho ki Tw radio sab mein
suron ka nashsha hai fikr-o-nazar ka jam hai urdu
isi ko bolne mein ruh ko ab hai sukun hasil
zamane ki zabanon ke liye paigham hai urdu
musalsal irtaqa-e-adamiyat is se mazhar hai
ba-qaid-e-nutq-e-'majid' rahbar-e-aqwam hai urdu
Nazm
Zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu
Majid-ul-Baqri