jahan pahonche hindostani wahan pahunchi zaban urdu
murkkab har zaban se ban gai shirin zaban urdu
nikal kar hind se pahunchi ye america aur africa
samajh lete hain har mulkon ke bashinde zaban urdu
gai ye chin-o-japan aur gai europe ke mulkon mein
raha jo chand din hind mein hui us ki zaban urdu
samundar par ho kar ye gai sahra-nashinon mein
hamari hai bahut aasan aur shirin zaban urdu
na puchho us ki wusat ko kahan se hai kahan pahunchi
taraqqi KHud-baKHud ye karne wali hai zaban urdu
pali hai pyar-o-ulfat mein ye hindu aur musalman ke
to phir kyun KHar ho nazron mein ye pyari zaban urdu
miTana chahiye us ko na nafrat aur ghaflat se
nishani ulfat-o-millat ki hai be-shak zaban urdu
Nazm
Zaban-e-urdu
Nisar Kubra