saba us se ye kah jo us taraf ho kar guzarta ho
qadam o jaane wale rok mera haal sunta ja
kabhi main bhi jawan tha main bhi husn-o-ilm rakhta tha
wahi main hun mujhe ab dekh agar chashm-e-tamasha ho
jawani ki umangen shauq-e-ilmi zehn-o-tabbai
zakawat hausla hilm-o-murawwat rahm-o-gham-KHwari
KHayal-e-aqraba ahbab ke aibon ki sattari
qanaat dost mujh se dur koson bughz-o-tammai
gharaz aisi bahut si KHubiyan thin maut ne lekin
bana Dala mere aatish-kade ko KHak ka tuda
shararon ke ewaz ab bah raha hai barf ka dariya
musafir ghaur se sun gor se bachna hai na-mumkin
Nazm
Zaban-e-dargor
Azeemuddin Ahmad