jo mujh pe biti hai us ki tafsil main kisi se na kah sakunga
jo dukh uThae hain, jin gunahon ka bojh sine mein le ke phirta hun, un ko kahne ka mujh ko yara nahin hai,
main dusron ki likhi hui kitabon mein, dastan apni DhunDhta hun
jahan jahan sarguzisht meri hai
aisi satron ko main miTata hun
raushnai se kaT deta hun
mujh ko lagta hai, log un ko agar paDhenge
to rah chalte mein Tok kar mujh se jaane kya puchhne lagenge!
Nazm
Zatiyat
Khalilur Rahman Azmi