teri fitrat mein hai 'gobind' ka aasar magar
'ibn-e-mariyam' ka muqallid tera kirdar magar
ram aur kirshn ke jiwan se tujhe pyar magar
baada-e-hubb-e-mohammad se bhi sarshaar magar
sikh na isai na hindu na musalman hai tu
tera iman ye kahta hai ki insan hai tu
hinduon se tujhe lena hai zehanat ka kamal
aur sikkhon se shujaat ki na ho jis ki misal
ahl-e-islam se lena hai ibaadat ka jalal
aur issaiyon se sabr lagan aur istiqlal
in anasir ko mohabbat se milana hoga
kishwar-e-hind ka insan banana hoga
man ke mandir ko munawwar kare nur-e-islam
kaba-e-dil mein rahe sham-o-sahar ram ka nam
kabhi ganga kabhi kausar se milen jam pe jam
yun banen shir-o-shakar teri hukumat mein awam
ram ho aur rahim aur na hone pae
ab koi bachcha yatim aur na hone pae
tujh se ummid ye hai ki mulk mein iflas na ho
tang-dasti na aae kahin yas na ho
alam-o-ranj ka dukh-dard ka ehsas na ho
aur tassub ki kisi qaum mein bu-bas na ho
unsur-e-amn shikan ko tah-o-baala kar de
to jo aaya hai to duniya mein ujala kar de
Nazm
Zakir-husain
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar