ye zindagi ka safar ajab hai
ki is mein jo bhi mila
wo mil kar bichhaD gaya hai
chala tha jab karwan hamara
nae ufuq ki taraf
to hum bhi
jawan umangon ke pasban the
qadam qadam par
jab ek ek kar ke
sab hamare rafiq chhuTe
to jin nai manzilon ki jaanib
chale the kal hum
wo sab ufuq ki tarah gurezan
KHala mein tahlil ho gai thin
main is masafat se thak gaya hun
magar mujhe koi gham nahin hai
main apne baad aane wali naslon ke haq mein
ab ye dua karunga
wo manzilen jin ke waste main ne zindagi ka
aziz sarmaya taj diya hai
wo manzilen un ki gard-e-pa hon
wahan se jab wo
guzar ke aage ki manzilon ki taraf baDhen
meri sari KHushiyon ko apna zad-e-safar samajh kar
wo sath rakh len
Nazm
Zad-e-safar
Rashid Aazar