chalo yun hi sahi
tum sab dariche band kar do
wo hawaen rok do
jo KHala sine ka bharne ke liye aati hain
sansen tumhaari sath lati hain
to lu aise samay
meri ragon mein KHun ke badle
wo pani hai
jo arman sadh lene wale peDon ka muqaddar hai
mere tufan ki maujen
kisi barfile choTi ki wo tahriren hain jin ko
ab faqat aise farishte paDh sakenge
jo kabhi bad-baKHt dharti par utarte hi nahin
chalo yunhi sahi
tum jo bhi chaho
jis tarah chaho wahi hoga
main ek gardab ki manind wapas lauTta hun
us samundar mein
ki jis ki tah mein ja kar
sab KHazane Dub jate hain
Nazm
Yun hi sahi
Qazi Saleem