main
rozana ek sau rupe ujrat ka mulazim hun
mera beTa
tyre pankchar ki dukan par kaam karta hai
aur
ustad ki galiyon aur thappaDon ke alawa
tis rupae rose kamata hai
biwi aur nau-umr beTi
tin chaar baDe gharon mein safai aur bartan dhoti hain!
mujhe yaad nahin
ki kabhi mere kumbe ne mil kar nashta kiya ho
ya
raat ke khane ke baad mil-jul kar baaten ki hon
mere bachche ab
mujh se idi nahin mangte
aur
biwi baaliyon aur gajron ka taqaza nahin karti
hum sab
KHurak puri karne ke liye marte hain
aur
utility bil dene ke liye zinda rahte hain
hum ek dusre se
ajnabiyon ki tarah milte hain
aur
aabai gharon mein kiraya-daron ki tarah rahte hain
Nazm
Yun bhi hota hai KHandan mein kya
Zahid Masood