abhi chiD ke jangalon se guzarna bahut jaan-faza hai
kai mil ke baad barfile tudon ka sahra milega
jahan sard purwaiyon ke thapeDe thirakte milenge
umudi Dhalanon ka ek silsila bhi milega achanak
jise par karne ki dhun mein tumhein apne sab sathiyon ko galana paDega
hasin daraupadi aur tumhaare jari bhaiyon ki jamaat
inhin barf-zaron ka hissa banegi
magar ye bhi hoga yudhishthir! tumhaara wafadar kutta
tumhaare aqab mein ba-sad-shauq har waqt chalta rahega
muKHalif faza mein tumhaari hi dhaDkan ka hissa rahega
use yaKH jahannam nahin chhu sakega
tumhaare jari bhaiyon ki wajahat tumhaari hasin daraupadi ki malahat
tumhaare wafadar kutte ke aage pashiman rahegi
Nazm
Yudhishthir
Ambar Bahraichi