اردو हिंदी
Ye tamanna abas | Shaahi Shayari
ye tamanna abas

Nazm

Ye tamanna abas

Shahzad Ahmad

;

use dekhne ki tamanna abas
wo kaisa lagega

abhi dhundli dhundli lakiron ne chehra banaya nahin
abhi us ki aawaz bhi resha resha hai

us ne guzarti hui saaton ko bataya nahin
abhi barf ki tah ke niche hain aankhon ki jhilen

abhi jhil ki machhliyan zard suraj ki kirnon se mahrum hain
magar kya KHabar

wo azal se abad tak isi kaifiyat mein rahe
ya meri aankh us ki badalti hui rangton se shanasa na ho

main use kyun adhura kahun
meri aankhen hi shayad mukammal na ho

yahi sochte sochte mujh ko nind aa gai
aur hawa der tak mere kanon mein kahti rahi

dekh le dekh le
main ne ghabra ke aankhen uThain

wahan tirgi ke siwa aur koi na tha
main ne dil se kaha

raat kafi paDi hai abhi swar hain
swar hain

abhi nind ka pahla jhonka bhi aaya na tha
phir hawa ne kaha dekh le dekh le

KHamushi rang hai
tirgi ki sada sang hai

bante bante hue roz-o-shab naqsh-e-pa se zyaada nahin
aur tu sochta hai ki takmil ho

chehre itne shanasa hon to un ko pahchan le
ye tamanna abas