ye shahr tamam andoh mein hai
is raat sipahi gasht par aaya nahin
tum ghar ja sakti ho
aur shahr ke bahar jitne shahr hain sab ke sab andoh mein hain
kal hafte ki tatil ka pahla din hoga
wo laDki ghas par baiTh kar likhti hai aur hansti hai
ek tez hansi jo sat gharon ko chir gai
wo laDki ghas par baiTh ke likhti hai aur hansti hai
un lafzon par jo us ne likhe
un lafzon par jo us se pahle aane wale sab ne likhe
un lafzon par jo us ke baad ke aane wale shayad is par likkhenge
wo hansti hai aur likhti hai aur hansti hai
aur shahr tamam andoh mein hai
koi patthar aan haTaega
is ghar ke bahar ek ghar hai
tum ghar mein ja kar so rahte
aur KHwab akele dam kahe ko aane hain
KHwab to rath par aate hain
aur tum ne rath-dewta ko KHwab mein Dal diya
ab shahr aur KHwab aur aankh ka rishta TuT gaya
ab dariya phailta jata hai
aur koi kinara pas nahin
aur dariya phailta jata hai
aur dariya phailta jata hai
aur dariya phailta jata hai
Nazm
Ye shahr tamam andoh mein hai
Mohammad Anvar Khalid