in daraKHton ke gahre ghane, KHwab-alud sae mein
KHamosh, hairan chalta hua ek rasta
kisi dur ki raushni ki taraf ja raha hai
yahan se jo dekho to jaise kahin hadd-e-imkan talak
gum-shuda waqt jaisi andheri gupha hai
yahan se jo dekho to
ummid jaisa bahut hairat-afza ajab silsila hai
jo is tang, tarik nuqte se
mumkin ke manind, ek raushni-zad qarye ki jaanib khula hai
faza mein kahin nil-gun sabz, halke sunahre
kahin bas hare hi hare saKHt gahre
bahut unghte Dolte rang
sukhe hue surKH patton ke manind
us be-aman raste par paDe hain
kiran bhuli-bhaTki koi
un se aa kar achanak jo milne lagi hai
to yak-bargi chaunk kar sab damakne lage hain
andhere ki is hadd-e-imkan talak
tang, gahri gupha mein
sabhi yaad ke jugnuon ki tarah
uDte uDte chamakne lage hain
yahan se jo dekho to
nadida manzil ki mauhum hairat se
aankhen, har ek KHwab ki nim wa hain
tamannaon ke dil dhaDakne lage hain!

Nazm
Ye rasta
Sameena Raja