ye raat hai ya hayat hai pul-e-siraat hai
andhere mein lamhon ki tez dhaar par chale hue
halki aankh malte hue
lahuluhan qadam
lekin kaT kar girte hain nahin
karte bhi nahin
zaKHmi pair liye abhi aur kitni dur chalna hai
malum nahin
is raste ki sarhad
hamesha nazdik dikhai deti hai
lekin nazdik pahunchte hi madum ho jati hai
aur hum ek aur rasta
ek aur rahguzar ubhar aati hai
shayad yahi manzil bhi hai aur yahi rasta bhi hai
shayad yahi is zindagi ka sahil bhi hai
ki hum chalte rahen
KHamosh ya phir chillate ya gate hue
KHud apne aap ko koi git koi naghma
sunate hue
gane wale bhi hum sunne wale bhi hum
hamari duaen bhi thi
hamari zaban se nikal kar hamare
dil tak hi jati hain
dil agar sun le to duaon mein asar aa jata hai
na sune to hum hath upar uTha kar niche giraate rahte hain
aur rote rahte hain
is raat ke andhiyare mein
khile hue zaKHmon ke phul bhi hamare
hamari aahon ke kanTe bhi hamare
hum tumhaare tum bhi hamare
KHushiyan bhi apni gham bhi hamare
is phul aur dhul se nikal jaane ke baad
pul-e-siraat se phisal jaane ke baad
taqdir sambhal jaane ke baad
jab aankh khulegi
to koi phulon ki bich hamari muntazir na hogi
hamari nindon mein
koi hansta hua KHwab nahin aaega
hamare hathon mein koi gulab nahin aaega
hamare samne koi baam-e-sharab
aur banhon mein koi shahab nahin aaega
aaega to
ek muhib sannaTa
ek lambi KHamoshi
ek na sunai dene wali aawaz
ek na dikhai dene wala KHala
jis mein na hum hain
na hamara saya hoga
na hone ka ilm
na hone ka ehsas
ek aisa lamba pul
jis ki kahani hum apne dusre shahr mein bhi
suna na paenge
hum wahan se lauT kar
dobara yahan aa na paenge
Nazm
Ye raat
Khaleel Mamoon