ye pichhle ishq ki baaten hain
jab aankh mein KHwab damakte the
jab dilon mein dagh chamakte the
jab palken shahr ke raston mein
ashkon ka nur luTati thin
jab sansen ujle chehron ki
tan man mein phul sajati thin
jab chand ki rim-jhim kirnon se
sochon mein bhanwar paD jate the
jab ek talatum rahta tha
apne be-ant KHayalon mein
har ahd nibhane ki qasmen
KHat KHun se likhne ki rasmen
jab aam thin hum dil walon mein
ab apne phike honTon par
kuchh jalte bujhte lafzon ke
yaqut pighalte rahte hain
ab apni gum-sum aankhon mein
kuchh dhul hai bikhri yaadon ki
kuchh gard-alud se mausam hain
ab dhup ugalti sochon mein
kuchh paiman jalte rahte hain
ab apne viran aangan mein
jitni subhon ki chandi hai
jitni shamon ka sona hai
us ko KHakistar hona hai
ab ye baaten rahne dije
jis umr mein qisse bante the
us umr ka gham sahne dije
ab apni ujDi aankhon mein
jitni raushan si raaten hain
us umr ki sab saughaten hain
jis umr ke KHwab KHayal hue
wo pichhli umr thi bit gai
wo umr bitae sal hue
ab apni did ke raste mein
kuchh rang hai guzre lamhon ka
kuchh ashkon ki baraaten hain
kuchh bhule-bisre chehre hain
kuchh yaadon ki barsaten hain
ye pichhle ishq ki baaten hain
Nazm
Ye pichhle ishq ki baaten hain
Mohsin Naqvi