اردو हिंदी
Ye meri ghazlen ye meri nazMein | Shaahi Shayari
ye meri ghazlen ye meri nazMein

Nazm

Ye meri ghazlen ye meri nazMein

Ahmad Faraz

;

ye meri ghazlen ye meri nazmen
tamam teri hikayaten hain

ye tazkire tere lutf ke hain
ye sher teri shikayaten hain

main sab teri nazr kar raha hun
ye un zamanon ki saaten hain

jo zindagi ke nae safar mein
tujhe kisi waqt yaad aaen

to ek ek harf ji uThega
pahan ke anfas ki qabaen

udas tanhaiyon ke lamhon
mein nach uTThengi ye apsaraen

mujhe tere dard ke alawa bhi
aur dukh the ye manta hun

hazar gham the jo zindagi ki
talash mein the ye jaanta hun

mujhe KHabar thi ki tere aanchal mein
dard ki ret chhanta hun

magar har ek bar tujh ko chhu kar
ye ret rang-e-hina bani hai

ye zaKHm gulzar ban gae hain
ye aah-e-sozan ghaTa bani hai

ye dard mauj-e-saba hua hai
ye aag dil ki sada bani hai

aur ab ye sari mata-e-hasti
ye phul ye zaKHm sab tere hain

ye dukh ke nauhe ye sukh ke naghme
jo kal mere the wo ab tere hain

jo teri qurbat teri judai
mein kaT gae roz-o-shab tere hain

wo tera shair tera mughanni
wo jis ki baaten ajib si thin

wo jis ke andaz KHusrawana the
aur adaen gharib si thin

wo jis ke jine ki KHwahishen bhi
KHud us ke apne nasib si thin

na puchh is ka ki wo diwana
bahut dinon ka ujaD chuka hai

wo kohkan to nahin tha lekin
kaDi chaTanon se laD chuka hai

wo thak chuka tha aur us ka tesha
usi ke sine mein gaD chuka hai