ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya
ye insan ke dushman samajon ki duniya
ye daulat ke bhuke riwajon ki duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
har ek jism ghayal har ek ruh pyasi
nigahon mein uljhan dilon mein udasi
ye duniya hai ya aalam-e-bad-hawasi
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
yahan ek khilauna hai insan ki hasti
ye basti hai murda-paraston ki basti
yahan par to jiwan se hai maut sasti
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
jawani bhaTakti hai bad-kar ban kar
jawan jism sajte hain bazar ban kar
yahan pyar hota hai bewpar ban kar
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
ye duniya jahan aadmi kuchh nahin hai
wafa kuchh nahin dosti kuchh nahin hai
jahan pyar ki qadr hi kuchh nahin hai
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
jala do ise phunk Dalo ye duniya
mere samne se haTa lo ye duniya
tumhaari hai tum hi sambhaalo ye duniya
ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
Nazm
Ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya
Sahir Ludhianvi