nahin hai yun to nahin hai ki ab nahin paida
kasi ke husn mein shamshir-e-aftab ka husn
nigah jis se milao to aankh dukhne lage
kisi ada mein ada-e-KHiram-e-baad-e-saba
jise KHayal mein lao to dil sulagne lage
nahin hai yun to nahin hai ki ab nahin baqi
jahan mein bazm-gah-e-husn-o-ishq ka mela
bina-e-lutf-o-mohabbat, riwaj-e-mehr-o-wafa
ye kas dayar-e-adam mein muqim hain hum tum
jahan pe muzda-e-didar-e-husn-e-yar to kya
nawed-e-amad-e-roz-e-jaza nahin aati
ye kis KHumar-kade mein nadim hain hum tum
jahan pe shorish-e-rindan-e-mai-gusar to kya
shikast-e-shisha-e-dil ki sada nahin aati
Nazm
Ye kis dayar-e-adam mein
Faiz Ahmad Faiz