aKHtaruzzaman nasir
waqt jaise roya ho
dhup narm lahje mein jaise aaj goya ho
dur koi masjid mein
bich asr o maghrib ke
jaise khoya khoya ho
aKHtaruzzaman nasir
main tumhaari aankhon se dekhta tha duniya ko
main tumhaare hathon se zindagi ko chhuta tha
main tumhaare qadmon se napta tha raston ko
main tumhaari sanson se sunghta tha KHushbu ko
main tumhaara manzar tha
be-sada samundar tha
sar pe aasman tum the
han mera bayan tum the
aur meri dharti mein chahaten tumhaari thin
aadaten tumhaari thin
din tumhaare lahje ki chhanw mein guzarte the
zindagi se laDte the zindagi se Darte the
aKHatruzzaman nasir
jaane kyun hua badli charKH ne bhi ruKH badla
dur masjid-e-jaan se kyun azan-e-dil ubhri
sajda-e-talab chamka
harf-e-kunj-e-lab chamka
din ghurub hote hi zauq-e-muntaKHab chamka
kash ye nahin hota kash main wahin hota
aKHtaruzzaman nasir
main kisi tamaddun ka aaKHiri musafir hun
main hazar KHwabon ki dauD-dhup mein shamil
main hazar jazbon ki rel-pel ka aadi
main hazar hathon se zindagi banata hun
main hazar qadmon se raston pe chalta hun
main hazar shanon pe karwaTen badalta hun
main hazar aankhon se manzaron mein Dhalta hun
main asir duniya ka
main basir farda ka
main waraq hun mazi ka
waqt hai munadi ka
Darte Darte kahta hun main bhi ek shaer hun
aKHtaruzzaman nasir
ye safar jo jari hai kaun is ka jada hai
kaun is ki manzil hai
lauTna bhi mushkil hai
main to jaise bhar paya aur ek dar paya
roz-o-shab ka halqa hai
main bhi ek qaidi hun
subh ka andhera hun
sham ki safedi hun
aKHtaruzzaman nasir
naukri hai sarkari
badtarin samjhauta, badtarin dushwari
aaj mere hathon mein tir hain na patthar hain
aaj meri aankhon mein KHwab hain na manzar hain
main sag-e-malamat ki sun raha hun aawazen
roz-o-shab ke narghe se bhagna bhi mushkil hai
aur aise aalam mein
farz-e-ain wajib hai
shughl-e-mai bhi jaez hai
aKHtaruzzaman nasir
hukm mujh ko azbar hai
tin nannhi dhupen hain
wo nafis paikar hai
jin ke sath jina hai
dhup hai to sahni hai
bas yahi guzarish hai
ek chhoTi tabdili
sirf itni KHwahish hai
aKHtaruzzaman nasir
e'tidal lazim hai
ye KHalaf ka wada hai
dur hai KHuda lekin
tosha-e-saadat hai
raushni ka jada hai
Nazm
Ye KHalaf ka wada hai
Javed Nasir