zehan KHali hai
KHala nur se ya naghme se
ya nikhat-e-gum-rah se bhi
pur na hua
zehan KHali hi raha
ye KHala harf-e-tasalli se
tabassum se
kisi aah se pur na hua
ek nafi larzish-e-paiham mein sahi
johd-e-be-kar ke matam mein sahi
hum jo naras bhi hain gham-dida bhi hain
is KHala ko
(isi dahliz pe soe hue
sarmast gada ke manind)
kasi minar ki taswir se
ya rang ki jhankar se
ya KHwabon ki KHushbuon se
pur kyun na karen?
ki ajal hum se bahut dur
bahut dur rahe?
nahin hum jaante hain
hum jo naras bhi hain gham-dida bhi hain
jaante hain ki KHala hai wo jise maut nahin
kas liye nur se ya naghme se
ya harf-e-tasalli se ise jism banaen
aur phir maut ki warafta pazirai karen?
nae hangamon ki tajlil ka dar baz karen
subh-e-takmil ka aaghaz karen?
Nazm
Ye KHala pur na hua
Noon Meem Rashid