ye kaun uTha hai sharmata
rain ka jaga nind ka mata
nind ka mata dhum machata
angDai leta bal khata
ye kaun uTha hai sharmata
ruKH pe surKHi aankh mein jadu
bhini bhini bar mein KHushbu
banki chitwan simTe abru
nichi nazren bikhre gesu
ye kaun uTha hai sharmata
nind ki lahren ganga jamni
jild ke niche halki halki
aanchal Dhalka maski sari
halki mehndi dhundli bindi
ye kaun uTha hai sharmata
Duba hua ruKH tabani mein
anwar-e-sahar peshani mein
ya aab-e-guhar tughyani mein
ya chand ka mukhDa pani mein
ye kaun uTha hai sharmata
ruKHsar pe mauj-e-rangini
kachchi chandi sachchi chini
aankhon mein nuqush-e-KHud-bini
mukhDe pe sahar ki shirini
ye kaun uTha hai sharmata
aankh mein ghaltan ishrat-gahen
nind ki sansen jaise aahen
bikhri zulfen uryan banhen
jaan se maren jis ko chahen
ye kaun uTha hai sharmata
phaila phaila aankh mein kajal
uljha uljha zulf ka baadal
nazuk gardan phul si haikal
surKH papoTe nind se bojhal
ye kaun uTha hai sharmata
kuchh jag rahi kuchh soti hai
har mauj-e-saba munh dhoti hai
na-shushta ruKH ya moti hai
angDai se jiz-biz hoti hai
ye kaun uTha hai sharmata
chehra phika nind ke mare
phike pan mein shahd ke dhaare
jo bhi dekhe jaan ko ware
dharti mata bojh sahaare
ye kaun uTha hai sharmata
halchal mein dil ki basti hai
tufan-e-junun mein hasti hai
aankh mein shab ki masti hai
aur masti dil ko Dasti hai
ye kaun uTha hai sharmata
Nazm
Ye kaun uTha hai sharmata
Josh Malihabadi