hairan hun
ye kaun sa shahr hai
'mir'-o-'ghaalib' ki dilli kabhi aisi to na thi
har gali har nukkaD par sanp kunDli mare baiThe hain yahan
paida hote hi koi bhi sanpola
Dasne ke liye par tolne lagta hai
jidhar dekhiye
har jagah sanp hi sanp hain
kahin KHuni darwaze ke aqab se
to kahin dhaula-kuan ke fly ower par
har jagah kunDli mare hue yahan
hazar-ha sanp aise hain
jo har dam tayyar baiThe hain
mauqa milte hi
wo kisi bhi narm-o-gudaz badan ko
nishana apna bana lete hain
apne zahrile dant gaD ne ke liye
jab wo phanphana kar bahar aate hain
kisi bhi rahgir ka rasta roke
ek dam
tan ke khaDe ho jate hain
hatta ki
buDha nag bhi ab yahan
apne khanDar mein tan ke khaDa hai
use bhi intizar hai
barsat ki us kali andheri raat ka hai
jab wo bul-hawas
apne kohna-mashq danton ko
kisi narm-o-nazuk ghazala par
tez kar sake hamla-e-KHun-rez kar sake
apni umr ke is aaKHiri paDaw mein wo bul-hawas
koi wardat-e-junun-angez qayamat-KHez kar sake
ya KHuda
ye kaun sa maqam hai
kya ye tera qahr nahin hai
kya ye wahi purana shahr nahin hai
sochta hun
'mir'-o-'ghaalib' ki dilli kabhi aisi to na thi
Nazm
Ye kaun sa shahr hai
Perwaiz Shaharyar