اردو हिंदी
Ye kaisi rut aa gai junun ki | Shaahi Shayari
ye kaisi rut aa gai junun ki

Nazm

Ye kaisi rut aa gai junun ki

Farooq Nazki

;

main apni biwi se baat karte
nape tule lafz bolta hun

main apne daftar mein sathiyon se
likhi hui baat bolta hun

main apne laKHt-e-jigar se aksar
nazar milane se kanpta hun

ye kaisi fasl-e-bahaar aai
saba se KHushbu Dari hui hai

ye kaisi rut aa gai junun ki
nasim gulchin se mil gai hai