ye kaisi ghaDi hai
zamani tasalsul ka pahiya ghuma kar
yahan waqt ko
jaise fitrat se kaTa gaya hai
KHalijen jo rakhi gain
nur-o-zulmat ke mabain
in sab ko paTa gaya hai
samay raat ka hai
magar dhup
suraj se le kar ijazat
hamare sirhane khaDi hai
ye kaisi ghaDi hai
ye kaisi ghaDi hai
ki jaise hamare sirhane ka
bilkul hamari hi taqwim ka
aur hamare zamane ka
ek taq hai
jis pe koi muqaddas sahifa nahin
ek riya-kar mashal dhari hai
musaffa surahi mein
aab samawi nahin
reg-e-isyan bhari hai
bahishti daraKHton ke
pak aur ras asmar mein
koi nok-e-najasat gaDi hai
KHudaya
tere nek bandon pe
uftad kaisi paDi hai
ye kaisi ghaDi hai
Nazm
Ye kaisi ghaDi hai
Rafiq Sandelvi