ye kund aur yaKH be-numu nind jis mein
shab-e-irtiqa aur subh-e-harira ka taza amal raegan ho raha hai
shikasta kinaron ke andar machalti hui soKHta-jaan lahron ka raqs-e-ziyan ho raha hai
charagh-e-taharruk kaf-e-sust par be-nishan ho raha hai
mere dahr ka taq-e-tahzib jis par
muqaddas sahifa nahin ek riya-kar mashal dhari hai
har ek shisha-e-pak-baz-o-safa ki samawi ragon mein
kisi aks-e-fajir ki miTTi bhari hai
munazzah daraKHton ke pak aur shirin phalon mein
koi nok-e-tegh-e-najasat gaDi hai
KHudaya tere nek bandon par uftad kaisi paDi hai
ye kaisi ghaDi hai
Nazm
Ye kaisi ghaDi hai
Rafiq Sandelvi