ye kaise log hain jo sang-basta jaliyon ki tarah aankhen band rakhte hain
sirhane laDkiyon ke raat ki bikhri kitaben hain
aur un ke KHwab andheron ke darakte rauzanon se
dhaDdhaDati billiyon ki tarah ghar ghar phail jate hain
main sari raat aawazon ka mubham shor sunta hun
aur aankhen band rakhta hun
aur un ke sath ho leta hun jin ka rasta mera muqaddar hai
so ab meri gawahi kaun dega
ki main apni gawahi ke liye zinda nahin hun
wo aise log the jo
dasht-e-be-diwar mein apne safar ka nind se aaghaz karte the
aur un ki ungliyan sahrai sanpon ki tarah un ke badan par rengti thin
aur un ki gardanen TuTi kamanon ki tarah un ke badan par jhulti thin
wo apni paT-khuli aankhon se sote the
wo chalte the to un ki aastinen panw mein aati thin
aur wo ruk ke chalte the
daraKHton mein kahin baiTha rupahli rut ka karinda
samundar samt ka qutbi sitara hai
samundar meri aankhon ka ishaara hai
use kahna wo meri mez par apni hatheli yun jamae mujh ko mat dekhe
use kahna sitaron aur un ki chaal mein kuchh farq hota hai
use kahna wo apni gardan-e-be-saKHta ke aaine mein mujh ko mat dekhe
use kahna wo apni billiyon ki gardanon par hath rakh kar mujh ko mat dekhe
use kahna mohabbat ek akeli naw hai
aur aasman aaina-bardari ka mujrim hai
Nazm
Ye kaise log hain
Mohammad Anvar Khalid