moajiza tha ajab
aahani chanchanahaT se zanjir KHud apne qadmon mein aa kar giri
bhaari-bharkam dahane khule
aur charKH chun ki fariyaad ke sath
paTri par Dabbe sarakne lage
subh ki dudhiya chhanw mein
aankh malte hue sab ye hairat-zada dekhte the
koi khinchne wala engine na tha
aur tarai utarti gai
un ki raftar baDhti gai
KHar-o-KHas ko kuchalti hui
tez se tez-tar
tez tar tez-tar
ab ye paTri jahan un ko le jae
jaenge
ab ye musafir
jo is fazl-e-rabbi pe nazan the
hairan hain
mashkuk nazron se
ek dusre se gurezan se
wahmon ko dil mein chhupae hue
tez raftar baDhte chale jaenge
ye kahan jaenge
Nazm
Ye kahan jaenge
Abrarul Hasan