اردو हिंदी
Ye jo sham zar-nigar hai | Shaahi Shayari
ye jo sham zar-nigar hai

Nazm

Ye jo sham zar-nigar hai

Asad Badayuni

;

ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai
main manzaron se sarsari guzarne wala shaKHs tha

yunhi si ek sham thi aur ek jhil thi
ki jis mein us ka aks tha

so main wahin Thahar gaya
wo chand mere sare jism mein utar gaya

ye ek hijr jo azal se mere us ke darmiyan tha
magar ajab junun tha jo chahta tha

duriyon ko toD de
lagam-e-asp-e-asman zamin ki samt moD de

achanak ek subh meri aankhen bujh gain
ya udas chand ko sahar nigal gai

ye jo sham zar-nigar hai
ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai