tapti rahon se chal chal ke
jab chhanw ki KHwahish bhi na rahi
aashiqon ki rawani rok to li
qatra qatra ummid bahai
ye ishq kahan le jaega
be-KHwab saweron ki aawaz
pur-nur shabon ko bhul gae
andaz-e-bayan mein ulajh gae
shirin labon ko bhul gae
ye ishq kahan le jaega
sadiyon ki thakan se jit ke bhi
ek pal ki nirasha sah na sake
sagar pine ka dawa hai
do ashk bahe bin rah na sake
ye ishq kahan le jaega
le gaya jahan le jaana tha
kuchh KHas maze ki jagah nahin
jis ki KHatir dil ko toDen
mar jaen ye wo wajh nahin
ye ishq kahan le jaega
hasti ke aur bhi muddaa hain
hansne ke bahane aur bhi hain
KHwahish ke dariche hain har su
aur gham ke fasane aur bhi hain
ye ishq kahan le jaega
Nazm
Ye ishq kahan le jaega
Sandeep Koul Nadim