ye ek dohri aziyyat hai
aziyyat be-sabab hansne ki
be-aram raaton ki kahani
shab-zadon ke samne
hans hans ke kahne ki
KHudawand KHuda ki mehrbani hai
duaen aap ki hain
aap ki sarkar mein zinda hun KHush hun
bataur nasehan milta hai koi
ba-rang-e-mehrban milta hai koi
ba-sai-e-raegan milta hai koi
wo kam-agah kam-ehsas kam-awaz laDki hai
wo laDki mujh se milti hai
magar andar utar jae to chubhti hai
wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai
ajab surat hai wo jab bhi kahin jae to aa jae
kahin rasta kinare mujh se Takrae to aa jae
kabhi bhi apni kaj-fahmi pe ro jae to aa jae
hawa-e-sham ki aawaz sun pae to aa jae
hawa-e-sham ye kaisi mohabbat hai
wo laDki mujh se milti hai
magar andar utar jae to chubhti hai
wo apni kam-sawadi jaanti hai aur sisakti hai
main apni kam-sawadi jaanta hun aur hansta hun
ye ek dohri aziyyat hai
Nazm
Ye ek dohri aziyyat hai
Mohammad Anvar Khalid