ye hath kitne hasin kitne KHubsurat hain
ye hath jin pe hai ek jal sa lakiron ka
lakiren jin mein hain sadiyon ke irtiqa ke nishan
nishan amal ke azaem ke ilm-o-hikmat ke
saubaton ke salabat ke aur mashaqqat ke
wafa ke qurb-o-rifaqat ke mehr-o-ulfat ke
safa-o-sidq ke insaniyat ki KHidmat ke
karam ke jud-o-saKHa ke ata ke baKHshish ke
kamal-o-kashf ke kawish ke aur koshish ke
ye hath kitne hasin kitne KHub-surat hain
magar hamesha mujhe in se KHauf aaya hai
ye hath sanp ka phan hain
ye hath hath nahin
mujhe na dekho mere hath par nazar rakkho
Nazm
Ye hath
Sulaiman Areeb