ye ghar jal kar girega
tum ne lau dhimi nahin ki
hijrati ghar chhoDne ke bhi koi aadab hote hain
chalo do chaar din rah lo
kisi ke aane jaane tak
jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai
ye ghar jal kar girega
in parindon se kaho dahliz se aage nikal jaen
KHuda-e-KHushk-o-tar ki saltanat ek ghar nahin hai
aur mausam hain hawadis ke
abhi barish bhi hogi
abhi barish bhi hogi
KHema-dozon se kaho ek baadban si len
kisi ki bazyabi tak ye sara shahr
jalne ke liye baqi rahega
tum diye ki lau magar aahista rakhna
aur mausam hain hawadis ke
jahan tak masiyat hai irtiqa ka dar khula hai
Nazm
Ye ghar jal kar girega
Mohammad Anvar Khalid