sab kaT do
bismil paudon ko
be-ab sisakte mat chhoDo
sab noch lo
bekal phulon ko
shaKHon pe bilakte mat chhoDo
ye fasl umidon ki hamdam
is bar bhi ghaarat jaegi
sab mehnat subhon shamon ki
ab ke bhi akarat jaegi
kheti ke konon-khudron mein
phir apne lahu ki khad bharo
phir miTTi sincho ashkon se
phir agli rut ki fikr karo
phir agli rut ki fikr karo
jab phir ek bar ujaDna hai
ek fasl paki to bharpaya
jab tak to yahi kuchh karna hai
Nazm
Ye fasl umidon ki hamdam
Faiz Ahmad Faiz