shayad ye ek
tawil KHat ka KHulasa hai
jo tum tak nahin pahunch sakega
ek na-mukammal kahani ka iqtibas
jise tum nahin sun sakoge
shayad ye tumhaare liye likhi jaane wali taqrir ka ibtidai hissa hai
ya us git ke bol
jo sirf almaiya mauqon par gaya jata hai
ya wo paigham jise sari duniya mein
bar bar dohraya jata hai
ye aansu hai jo marne walon ki
jeb se baramad hota hai
ye ek tir hai
jo zinda rahne walon ke dil mein hamesha paiwast rahta hai
ek talwar jis se aankhen nikali ja sakti hain
aur ek pistol jo sirf
kanpaTi par rakh ke chalai jati hai
ye ek sitara hai jo barish ke baad numudar hota hai
ek baadal jo kabhi numudar nahin hota
aur ek mohabbat jo sitaron aur baadalon mein
chhupne ki koshish karti rahti hai
Nazm
Ye ek mohabbat hai
Zeeshan Sahil