yahi din to azal se meri qismat tha
magar aankhon mein sahra ne bhari wo ret
sab tarik lagta tha
main kitne hi sarabon aur azabon se thi guzri
KHushk honTon par duaen bhi nahin thin
abhi to aasman dekha tha main ne
nishan tak bhi nahin tha baadalon ka
ajab din hai
sar-e-sahra hai wo jal-thal
ki hum yun
bhigte chhinTe uDate
muskuraate manzaron ke aaine mein
dekhte hain aks
jo aankhon mein khulte hain!
ragon mein saaton ki
ek sarshaari samai hai
yahi ek din to meri zindagi bhar ki kamai hai
isi ki kokh se ubhrenge
sad-ha muskuraate din
bhula baiThe wo sal o sin
ki jab is zindagi ko ek pal fursat nahin thi
aa ke mil leti
ye dekho! zindagi ne aaj KHud aa ke pukara hai
yaqin hai
ab se har lamha hamara hai!
Nazm
Ye din
Arifa Shahzad