اردو हिंदी
Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo | Shaahi Shayari
ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

Nazm

Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

Sudarshan Faakhir

;

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
bhale chhin lo mujh se se meri jawani

magar mujh ko lauTa do wo bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
bhale chhin lo mujh se meri jawani

magar mujh ko lauTa do bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani

mohalle ki sab se nishani purani
wo buDhiya jise bachche kahte the nani

wo nani ki baaton mein pariyon ka Dhera
wo chehre ki jhuriyon mein sadiyon ka phera

bhulae nahin bhul sakta hai koi
wo chhoTi si raaten wo lambi kahani

wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani
khaDi dhup mein apne ghar se nikalna

wo chiDiyan wo bulbul wo titli pakaDna
wo guDiyon ki shadi pe laDna jhagaDna

wo jhulon se girna wo girte sambhalna
wo pital ke chhanw ke pyare se tohfe

wo TuTi hui chuDiyon ki nishani
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani

kabhi ret ke unche Tilon pe jaana
gharaunde banana bana ke miTana

wo masum chahat ki taswir apni
wo KHwabon khilaunon ki jagir apni

na duniya ka gham tha na rishton ke bandhan
baDi KHubsurat thi wo zindagani

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
bhale chhin lo mujh se meri jawani

magar mujh ko lauTa do bachpan ka sawan
wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani

wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani