tum mujhe maqruz kar dete ho
apne boson se
mera baal baal bandh gaya hai
is qarze mein
roz bila-nagha
ye bose jaise apni yaad-dasht
kho dete hain
jab aahista aahista main
apni ungliyan pherti hun
un ke sabt kiye hue nishanon par
ye meri poron par
apni koi lams nahin chhoDte
un ki garm-joshi aur tapish
mere chehre par sarsarane ke bajae
hawaon ki tundi se ja milti hai
aur
un patton se
jin ko pala mar gaya ho
Nazm
Ye bose
Azra Abbas