raundte jao guzargahon ko
sar uThae hue
sina tane
kanp jaen dar-o-diwar
qadam yun uThen
dhaDkanen dil ki banen bang-e-rahil
ye baghawat hai
baghawat hi sahi
hum ne anjam-e-wafa dekh liya
KHas-o-KHashak bahata hua apna sailab
ab jo uTha hai to baDhta hi chala jaega
ye zar-o-sim ke tudon se nahin ruk sakta
goliyan
kis ko Daraate ho
ye Das sakti hain
Das jaane do
be-nawa sust-qadam wamanda
sal aate the chale jate the
waqt ke daman KHush-rang pe kale dhabbe
KHushk-lab hanpte bebas ayyam
rah ke beach mein uljhe hue rah jate the sustane ko
ghabrae hue
ab to har sans dahakta hua angara hai
dil ki barfab the ab aatish-e-sayyal ka fawwara hain
barq-raftar hai waqt
aur hum waqf se do-chaar qadam aage hain
chiKH uThen qarnaen
jhanjh bajen
dhum ho naqqaron ki
muskuraate hue gate hue baDhte jao
phenkte hain hamein taron pe kamand
KHema-zan hona hai mirriKH ke maidanon mein
Nazm
Ye baghawat hai
Tasadduq Husain Khalid