1
ye bachcha kaisa bachcha hai
ye bachcha kala kala sa
ye kala sa maTiyala sa
ye bachcha bhuka bhuka sa
ye bachcha sukha sukha sa
ye bachcha kis ka bachcha hai
ye bachcha kaisa bachcha hai
jo ret pe tanha baiTha hai
na is ke peT mein roTi hai
na is ke tan par kapDa hai
na is ke sar par Topi hai
na is ke pair mein juta hai
na is ke pas khilaunon mein
koi bhaalu hai, koi ghoDa hai
na is ka ji bahlane ko
koi lori hai, koi jhula hai
na is ki jeb mein dhela hai
na is ke hath mein paisa hai
na is ke ammi abbu hain
na is ki aapa KHala hai
ye sare jag mein tanha hai
ye bachcha kaisa bachcha hai
2
ye sahra kaisa sahra hai
na is sahra mein baadal hai
na is sahra mein barkha hai
na is sahra mein baali hai
na is sahra mein KHosha hai
na is sahra mein sabza hai
na is sahra mein saya hai
ye sahra bhuk ka sahra hai
ye sahra maut ka sahra hai
3
ye bachcha kaise baiTha hai
ye bachcha kab se baiTha hai
ye bachcha kya kuchh puchhta hai
ye bachcha kya kuchh kahta hai
ye duniya kaisi duniya hai
ye duniya kis ki duniya hai
4
is duniya ke kuchh TukDon mein
kahin phul khile kahin sabza hai
kahin baadal ghir ghir aate hain
kahin chashma hai kahin dariya hai
kahin unche mahl aTariyan hain
kahin mahfil hai kahin mela hai
kahin kapDon ke bazar saje
ye resham hai ye diba hai
kahin ghalle ke ambar lage
sab gehun dhan muhayya hai
kahin daulat ke sanduq bhare
han tanba sona rupa hai
tum jo mango so hazir hai
tum jo chaho so milta hai
is bhuk ke dukh ki duniya mein
ye kaisa sukh ka sapna hai
wo kis dharti ke TukDe hain
ye kis duniya ka hissa hai
5
hum jis aadam ke beTe hain
ye us aadam ka beTa hai
ye aadam ek hi aadam hai
ye gora hai ya kala hai
ye dharti ek hi dharti hai
ye duniya ek hi duniya hai
sab ek data ke bande hain
sab bandon ka ek data hai
kuchh purab pachchham farq nahin
is dharti par haq sab ka hai
6
ye tanha bachcha be-chaara
ye bachcha jo yahan baiTha hai
is bachche ki kahin bhuk miTe
(kya mushkil hai ho sakta hai)
is bachche ko kahin dudh mile
(han dudh yahan bahtera hai)
is bachche ka koi tan Dhanke
(kya kapDon ka yahan toDa hai)
is bachche ko koi god mein le
(insan jo ab tak zinda hai)
phir dekhe kaisa bachcha hai
ye kitna pyara bachcha hai
7
is jag mein sab kuchh rab ka hai
jo rab ka hai wo sab ka hai
sab apne hain koi ghair nahin
har chiz mein sab ka sajha hai
jo baDhta hai jo ugta hai
wo dana hai ya mewa hai
jo kapDa hai jo kambal hai
jo chandi hai jo sona hai
wo sara hai is bachche ka
jo tera hai jo mera hai
ye bachcha kis ka bachcha hai
ye bachcha sab ka bachcha hai!
Nazm
Ye bachcha kis ka bachcha hai
Ibn e Insha