ye achchhe log hain in se na milna
aur milna bhi to in ki aastinen dekh lena
ye achchhe log hain aur be-shikan shaistagi in ka muqaddar hai
ye achchhe log hain aur be-sada shoridgi in ka muqaddar hai
lapakte paniyon ki aaKHiri aasudgi in ka muqaddar hai
ye achchhe log hain jab sham hoti hai
to be-awaz galiyon ke sahaare
kunj-e-goyai mein apni aag lene jate hain
aur raste bhar KHud ko paighambar samajhte hain
ye achchhe log hain aur aag in ka masala hai
ye achchhe log hain sadiyon se un ki maen kahti aa rahi hain
paDosan aag dena
dhuan dete hue chulhe ki subhen
aanganon mein phailte sae
kiranji dhup bhuri aankh wali laDkiyon jaisi
wafa na-ashna shamen
tawe ko senkte ThiThure hue hath
aur raaton ki ulajhti silwaTen
jismon ki aasuda saliben
aspatalon mein janm deti hui marti hui maen
ye shamshanon ki bewaen
kai sadiyon se dohraen
paDosan aag dena
paDosan aag KHamyaza
unhi raston ka aawaza
unhi raston pe chalna aur yahi kahna
ye achchhe log hain in se na milna
aur milna bhi to in ki aastinen dekh lena
Nazm
Ye achchhe log hain
Mohammad Anvar Khalid