ye aansu nahin koi aur chiz hai
jo tumhaari aankhon se bah rahi hai
ye namak nahin kisi aur shai ka zaiqa hai
jise zaban mahsus kar rahi hai
ye chiz nahin koi aur aawaz hai
jo band khiDki se Takra rahi hai
jo muqaffal darwaze par dastak de rahi hai
ye hawa hai
jo tumhein apne sath le jaegi
aur pani hai
jo sab kuchh baha ke le jata hai
ye KHwab hai
jo hamesha nazar aata hai
aur mohabbat hai
jo sab kuchh tabah nahin hone deti
Nazm
Ye aansu nahin
Zeeshan Sahil