zamin-e-hind hai aur aasman-e-azadi
yaqin ban gaya ab to guman-e-azadi
suno buland hui phir azan-e-azadi
sar-e-niyaz hai aur aastan-e-azadi
pahaD kaT gaya nur-e-sahar se raat mili
KHuda ka shukr ghulami se to najat mili
hawa-e-aish-o-tarab baadban ban ke chali
zamin watan ki naya aasman ban ke chali
nasim-e-subh phir arjun ka ban ban ke chali
bahaar-e-hind tiranga nishan ban ke chali
sipahi desh ka apne har ek jawan bana
bal abruon ka kaDakti hui kaman bana
nazar-nawaz hai rang-e-bahaar-e-azadi
har ek zarra hai aaina-e-dar-e-azadi
hai sar-zamin-e-watan jalwa-zar-e-azadi
saron ke sath hai ab to waqar-e-azadi
kahan hain aaj wo sham-e-watan ke parwane
bane hain aaj haqiqat unhin ke afsane
hijab uTh gae ab kis ki parda-dari hai
ghazab ki dida-e-nargis mein hoshiyari hai
kali ne mang baDe husn se sanwari hai
hasin phulon mein rang-e-KHud-iKHtiyari hai
khaTak kahan se ho ab dil mein koi phans bhi hai
KHuda ka shukr ki marzi ki ab to sans bhi hai
zamin apni faza apni aasman apna
hukumat apni alam apna aur nishan apna
hain phul apne chaman apne baghban apna
itaat apni sar apna hai aastan apna
jamal-e-kaba nahin ya jamal-e-dair nahin
sab apne hi nazar aate hain koi ghair nahin
Nazm
Yaum-e-azadi
Siraj Lakhnavi