har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh
Tapak raha hai lahu aastin-e-qatil se
jhalak raha hai abhi KHauf chashm-e-bismil se
hain KHak pe nae dhabbe hain baam pe nae dagh
har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh
hui hai aadmiyat sarf din-e-shaitan par
hua hai sarf lahu tishnagi-e-haiwan par
ye KHun-e-KHak-nashini bana hai rizq-e-sitam
hua hai silsila-e-jaur ke alam pe raqam
pukar karta hai be-asra yatim lahu
kisi ke pas samaat ka waqt hai na dimagh
zaban-e-muddai KHam hai shahadat aawara
zamin ke sine pe bahta hai KHun ka dhaara
har ek kone mein har kan mein hai lahu ka suragh
Nazm
Yatim insaf
Ashok Lal